Neend Se Doobi Aankhain
Aur Woh Khayalon Mein Ghum Chehra
Ishq Ka Sataya Hua Lagata Hai
Woh Baitha Akela !!

xai

 
Hai Yeh Bhi Sach Kay Tere Saamnay Mujhe
Barson Koi Rafeeq Koi Kaam Bhi Na Yaad Aaya
Yeh Jhoot BHi Nahi Hai Tujhe Jo Kal Dekha
To Kitni Dair Tera Naam Bhi Na Yaad Aaya

xai

 
Zamana Tha Wo Dil Ki Zindagi Ka
Teri Furqat Kay Din Laaon Kahan Se
Falaan Se Thi Ghazal Behtar Falaan Ki
Falaan Kay Zakham Achay Thay Falaan Se

xai

 
Na Ho Koi Hamara Hum Pareshaan Achay
Be-Wafaon Ki Mehfil Se Bayabaan Achay
Milay Fursat To Yaad Kar Lena Hamein
Warna Tum Wahan Achay Hum Yahan Achay

xai

 
Tamaam Umar Hans Kay Gham Sehta Tha
Khushiyon Ko Aksar Tarasta Rehta Tha
Elaan-e-Maut Hua To Doston Ne Ye Kaha
Acha Hua Kay Mar Gaya Aksar Udaas Rehta Tha

xai

 
Wabasta Hai Meri Zaat Uski Yaadon Se Is Qadar
Yaaaaaaaaaaaaad Na Karun To Raat Nahi Dhalti
Yaaaaaaaaaaaaad Kar Lun To Aankh Nahi Lagti

xai

 
Kaisi Chahat Kaisi Mohabbat,
Hum Pe Sab Kuch Roshan Tha,
Yunhi Zara Sa Shauq Hua,
Aao Dil Barbaad Karen !!!

xai
 
 
Na Bazm Apni Na Saaqi Apna
Na Sheesha Apna Na Jaam Apna
Agar Yehi Hai Nizaam-e-Hasti To
Zindagi Ko Salaaaaaaaaam Apna

xai

 
Na Takht-o-Taj Ki Hai Aarzoo
Na Bazm-e-Shah Ki Justuju
Jo Nazr Se Dil Ko Badl Sake
Mujhe Us Nigah Ki Talaash Hai

xai

 
Dil Ka Zakhm Dikhaya Nahi Jayega
Gham Ka Qissa Har Bar Sunaya Nahi Jayega
Jee Bhar K Dekh Lena Is Chehre Ko
Bar Bar Kafan Hataya Nahi Jayega

xai

    Author

    ครเŦ אคเ

    4 & 2 Line (Couplets) Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    2 Line Couplets
    4 Lines Poetry
    Urdu Poetry On Wallpaper

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector